anā kā bojh kabhī jism se utaar ke dekh
mujhe zabāñ se nahīñ ruuh se pukār ke dekh
merī zamīn pe chal tez tez qadmoñ se
phir us ke ba.ad tū jalve mire ġhubār ke dekh
ye ashk dil pe gireñ to bahut chamaktā hai
kabhī ye aa.ina tezāb se nikhār ke dekh
na pūchh mujh se tire qurb kā nasha kyā hai
tū apnī aañkh meñ Dore mire ḳhumār ke dekh
zarā tujhe bhī to ehsās-e-hijr ho jānāñ
bas ek raat mere haal meñ guzār ke dekh
abhī to sirf kamāl-e-ġhurūr dekhā hai
tujhe qasam hai tamāshe bhī inkisār ke dekh
No comments:
Post a Comment