प्रिय दोस्तों! हमारा उद्देश्य आपके लिए किसी भी पाठ्य को सरलतम रूप देकर प्रस्तुत करना है, हम इसको बेहतर बनाने पर कार्य कर रहे है, हम आपके धैर्य की प्रशंसा करते है| मुक्त ज्ञानकोष, वेब स्रोतों और उन सभी पाठ्य पुस्तकों का मैं धन्यवाद देना चाहता हूँ, जहाँ से जानकारी प्राप्त कर इस लेख को लिखने में सहायता हुई है | धन्यवाद!

Sunday, July 28, 2019

Chhoota jo tera haath, toh hum toot ke roye

Chhoota jo tera haath, toh hum toot ke roye
tum jo na rahe saath, toh hum toot ke roye.

Chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne
paayi jo ye saughat, toh hum toot ke roye.

Imkaan na tha door talak tajdeed-e taalluq ka
dekhe jo ye haalaat, toh hum toot ke roye.

Anjaan the hum ab tak dard ki soorat se
hui jo mulaaqaat, toh hum toot ke roye.

Jeeti thi sadaa hum ne har baazi tere saath
tanha jo sahi maat, toh hum toot ke roye

Logon ne bahut poochha sabab veeraani-e dil ka
jab ho na saki baat, toh hum toot ke roye.

Thi dhoop bahut tezz har simt judaai ki
barsi jo na barsaat, toh hum toot ke roye.

Zadd mein tha khizaaon ki ab ke dil-e barbaad
bichhde jo shajar-paat, toh hum toot ke roye.

Din bhar toh rahe chup, ki duniya ki nazar thi
bheegi jo siyaah raat, toh hum toot ke roye.

Samjha tha sadaa tujh ko apna hi koi hissa
tukdon mein bati zaat, toh hum toot ke roye.

Hum karte rahe aaj talak uss ‘chaand’ ki khwaahish
yaad aayi jo auqaat, toh hum toot ke roye .!!

No comments:

Post a Comment

राजकीय सम्मान के साथ रतन टाटा का अंतिम संस्कार किया गया

   राजकीय सम्मान के साथ रतन टाटा का अंतिम संस्कार किया गया टाटा संस के मानद चेयरमैन रतन नवल टाटा का गुरुवार 10 अक्टूबर को मुंबई के वर्ली श्म...